Thailand VISA on Arrival for Indians 2023 full details

Indians ke liye Thailand me Visa on arrival ki suvidha hai. Visa on arrival sirf Tourism ke purpose se valid hai. Is Visa ke sath ap thailand me job nahi kar skte.


Visa process time to time change hota rehta hai. Abhi present time me October 2022 ke bad se Visa on arrival ke liye in documents ki jarurat hoti hai.

1. Passport. Jiski expiry date travel date se 30 days pehle ki honi chahiye.
2. Visa on arrival form. Jo ki apko thailand ke Airport pe available hoga. Is form ki link description box me bhi available hai. Ap waha se download kar ke printout le ja skte hai. Is form ko ap khud se fill kar skte hai.
3. Confirm return flight ticket. Apko flight ticket pehle se book kar lena hoga. Visa on arrival 15 din ke liye valid hota hai. To apko 15 din ke andar return ticket book karna hoga.
4. Hotel Booking Voucher. Ap jitne din ka bhi trip plan kar rhe hai apko Utne din ki Hotel booking Show Karni hoti hai.
5. 4×6 cm size ki Photograph. Atleast 6 photograph ap sath me rakh le.
6. 2,000 Thai baht per person Visa on arrival ki fee. Jo ki apko airports pe cash pay karna hota hai.
7. 10,000 Thai Baht show money. 10,000 Thai Currency per person as show money. apko apne sath cash form me carry karna hota hai aur Immigration ke time pe Show karna hota hai. Family ke liye 20,000 Thai Baht per family carry karna hoga.
8. Vaccination certificate. Ye ab compulsory to nahi hai but ap chahe to sath me rakh skte hai.

In Sabhi documents ko ek sath sequence me rakh lijiye.

Iske alawa kuch aur points hai jo ki apke liye important hai.

1. Save photo of Passport and other documents in mobile phone & Google drive. Taki documents miss hojae to bhi wo apke pas. online saved ho.
2. Ball Pen.
3. Fevistick/ fevicol. Photographs ko visa on arrival form me stick karne ke liye.
4. International Roaming pack. Jisse ki ap thailand me apne number se call kar skte hai.
5. Thailand Sim card. Ye apki personal choice hai. Ap thailand me seven eleven store se tourist Sim card le skte hai.
6. Ek small back pack sath me rakh le jisme apne important documents carry karne me asaani hogi.
7. Hand Sanitizer
8. Face Mask

Thailand trip ko smoothly enjoy karne ke liye ap Hotel booking, transport booking ya fir complete tour package humare through book kar skte hai. Jisme apko Hotel booking Voucher, flight ticket, transport facility, sighteeing, guide and thailand me emergency support milegi.

 

visa

Click here to Download Thailand VISA on Arrival Form

You can download this form and fill up by your own.

Contact Us!